Thursday, September 11, 2008

NAZM : INTEZAR




NAZM : INTEZAAR
Dr.AHMAD ALI BARQI AZMI

Gulbadan ghunch dahan zohra jabeen rashk e qamar

Lalah ru , maahlaqa,ghairat e sad lal o guhar

Aye meri jan e ghazal, aye meri manzoor e nazar

Ilteja tujhse yahi hai meri ba deeda e tar

Aa ki har lamha teri yaad mein jalta hai jigar

Aye meri jaan e ghazl aye meri manzoor e nazar

Hai tere dam se mere gulshan e hasti mein bahaar

Tu jo aa jaaye mera ghar ho gulistab bakenaar

Qabil e deed hai tere rukh e gulgoon ka nikhaar

Teri furqat mein nahin hai mujhe ek lamha qaraar

Mujhse milne mein too ab bahr e khuda der na kar

Aye meri jaan e ghzal aye meri manzoor e nazar


Hai tere gesu e mushkin se faza itar badosh

Tere dilkash lab o rukhsaar hain gharatgar e hoosh

Main hoon mushtaq e mulaqat basad josh o kharosh

Tujhse milne ki tamanna mein hai way eh aaghosh

Aa bhi jaa meri tamannaon ka ab khoon na kar

Aye meri jaan e ghazal aye meri manzoor e nazar

Saturday, September 6, 2008

Poetic Comment On "Ek Manzoom Afsana" by Rafi Tabassum

Aapka tarz e bayan hai khushgawar
Hai yeh afsanah nehaayat dilfegaar
kijiye aisa tareeqah akhteyaar
ho na "Sultanah kabhi bhi ashkbaar
hai zaroori fikro fan ka imtezaaj
ta ki ho yek kaam fakhr e rozgaar
Ho rahi hai masnavi maadoom ab
jo kabhi thi logon ke dil ka qaraar
jari rakhiye aap is takhleeq ko
Ta ki haasil kar sakein yeh iftekhaar
log pochhein yeh "Tabassum kaun hai
Jiska hai BARQI yeh adabi shaahkaar

Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi

محترم رفیع تبسم صاحب
آداب و تسلیمات


آپ کا طرز بیاں ھے خوشگوار
ھے یہ افسانہ نھایت دلفگار
کیجئے ایسا طریقہ اختیار
ھو نہ" سلطانہ"کبھی بھی اشکبار
ھے ضروری فکروفن کا امتزاج
تا کہ ھو یہ کام فخر روزگار
ھورھی ھے مثنوی معدوم اب
جو کبھی تھی لوگوں کے دل کا قرار
جاری رکھئے آپ اس تخلیق کو
تاکہ حاصل کر سکیں یہ افتخار
لوگ پوچھیں یہ "تبسم" کون ھے
جس کا ھے برقی یہ ادبی شاھکار

ڈاکٹر احمدعلی برقی اعظمی